Saturday 30 September 2017

Custom Rom kia hota hai


Assalam-o-Alaikum
Umeed hai ap sab theek hon ge.
To chalte Hain Thread ki traf.

Custom Rom bhi Stock Rom ki trah hi hota hai.
Stock rom Android Ke Full software ko kaha jata hai jo ke flash tool se device me flash kiya jata hai.
Custom Rom ko custom Recovery ke zariye install kiya jata hai.

Yeh thread Mtk Devices ke liye hai.
Custom Rom Ap ki device kay har look ko badal deta hai( matlab sara software change ho jata hai)
Ap ko custom rom install krne ke liye pehle custom roms dhondne prte hain.
To custom roms dhoondne ke liye ap google me apni device ka naam likhen aur agay custom rom likhen to ap ki custom rom agar hui to a jai gi.
Agar custom Roms Nahi Hai to ap Ko search krna ho ga apni devuce ki clone device ke custom roms ko.
Clone device ke bare me janne ke liye yeh thread parhe.
(https://arazaaa776.blogspot.com/2017/09/ab-kisi-bhi-china-mobile-ki-clone.html?m=1)
Misaal ke toor pr.
Meray pas Qmobile noir i6 hai aur mughe agar is ki custom roms nahi milti to main pehle is ki clone device ko dhoondo ga phir clone device ki custom roms ko dhoondo ga . agar clone device ki custom roma mil gayi . to woh custom roms main apne mobile pr laga sakta hun.
Jesa ke mere mobile ki 2 clone devices hai.
Gionee pioneer p4 aur walton primo gh2.
Aur mughe in ki custom roms mil jati hai.
To main inhen apne noir i6 me install kr sakta hun.

Custom Recoveries.
Custom recoveries me zyada tr mashoor "cwm Recovery hai"
Ap ko net se cwm recovery ko download krna ho ga.
Woh bhi aisi recovery jo ap ke mobile ke liye ho.
Custom roms ki trah hi custom recoveries ko search krna hota hai.
Custom roms agar ap ko mil jayen to ap ko custom recovery bhi mil jati hai.

Install krne ka tareeqa.
Ap pehle yeh maloom kren keh aap ki device konsi mtk hai.
Mtk6582 hai ya koi aur Mtk hai.
To aap ki jo device hai us ki scatter file net se download krain
Phir custom recovery ko download krain.
Phir adb driver installer ko download krain.
Apna computer on krain ayr adb driver installer ko open krain .
Phir apne device ki usb debbugging ko open krain aur pc se connect krain.
Phir adb driver installer me ap ki device detect hone ke baad install ka button dabayen.
Phir aap sp flash tool apne pc me download krain.
Ab jo aap ne recovery.img file aur mtk_scatter_file.txt download ki hai woh aik folder me apne pc me rakhen.
Ab aap sp flash tool open krain.
Aur scatter-loading pr click krain.
Phir apne mobile ka memory card , simcard aur battery nikaal de .
Phir sp flashtool me uper download ka icon bna ho ga us pr click krain.
Aur phir apne mobile ko pc se connect krain.
Ab ap ki recovery install hone lage gi . jab ho jaye to aap ko aik green circle nazar aye ga.
Phir aap apna mobile disconnect krain aur sari cheezen wapis daal kr on krain.
Phir aap net se supersu ki flashable zip file download krain.
Ab aap apne mobile ko recovery me open krain
Aur phir wipe and format options me jain aur wipe cache ko perfom krain.
Phir wipe dalvik cache ko perform krain.
Phir back jain , aur install zip pr click krain.
Phir install krain jo super su zip file ap ne download ki thi .
Jab install ho jaye to phir aap backup and restore pr click krain.
Phir backup to sdcard pr click krain.
Phir ap ka backup bnna shuru ho jaye ga.
Jab ban jaye to phir aap back jain aur wipe and format options me ja kr wipe data and factory reset pr click krain.
Phir yes krain
Phir ho jane ke baad back jain , install zip pr click krain.
Phir jo custom rom ap ne downliad ki thi woh select kr ke install krain.
Jab install ho jaye to ap super su ko dobara install krain.
Phir reboot system now pr click krain.
Phir ap ka mobile custom rom install kr chuka ho ga .
Aur 5 se10 min tak on ho jaye ga.
Kyunke pehla boot time leta hai.
Supersu ap jo install krte hain us se device ko root permission mil jati hai
Aur dosra jo aap nebackup banaya tha. Agar koi kharabi ho jaye to ap dobara recovery se restore kr sakte hain.
Agar kuch samagh na aye to puch len.

No comments:

Post a Comment